Saturday, June 28, 2008

Chand aur Suraj

Ek dil walon ki basti thi,
jahan CHAND aur SURAJ rehte the,

kuch SURAJ man ka pagal tha.
kuch CHAND bhi sukhi aur chanchal thaa.

basti basti phirte the,
har pal hanste rehte the,

phir ek din dunno rooth gaye
aur saare sapne toot gaye,

ab CHAND bhi us waqt aata hai
SURAJ jab so jaata hai,

baadal sab sey kehta hai,
SURAJ uljha rehta hai,

CHAND ke saath sitaare hain,
par SURAJ tanha rehta hai.

No comments: